← All bhajans
Bhajan
बनवारी रे, जीने का सहारा तेरा नाम रे · Banwari Re, Jeene Ka Sahara Tera Naam Re
Bhajan to Krishna — his name alone is life's support; all worldly bonds are illusion
हिन्दी
English
Refrain
बनवारी रे,
जीने का सहारा तेरा नाम रे,
मुझे दुनिया वालों से क्या काम रे ।
Banvārī re,
jīne kā sahārā terā nām re,
mujhe duniyā vāloṅ se kyā kām re.
झूठी दुनिया झूठे बंधन,
झूठी है ये माया,
झूठा साँस का आना जाना,
झूठी है ये काया,
ओ,
यहाँ साँचा तेरा नाम रे,
बनवारी रे...
Jhūṭhī duniyā jhūṭhe bandhan,
jhūṭhī hai ye māyā,
jhūṭhā sāṅs kā ānā jānā,
jhūṭhī hai ye kāyā,
o,
yahāṅ sāṅchā terā nām re,
Banvārī re...
रंग में तेरे रंग गये गिरिधर,
छोड़ दिया जग सारा,
बन गये तेरे प्रेम के जोगी,
ले के मन एकतारा,
ओ,
मुझे प्यारा तेरा धाम रे,
बनवारी रे...
Raṅg meṅ tere raṅg gaye Girdhar,
chhoḍ diyā jag sārā,
ban gaye tere prem ke jogī,
le ke man ektārā,
o,
mujhe pyārā terā dhām re,
Banvārī re...
दर्शन तेरा जिस दिन पाऊँ,
हर चिन्ता मिट जाये,
जीवन मेरा इन चरणों में,
आस की ज्योत जगाये,
ओ,
मेरी बाँहें पकड़ लो श्याम रे,
बनवारी रे...
Darśan terā jis din pāūṅ,
har chintā miṭ jāye,
jīvan merā in charaṇoṅ meṅ,
ās kī jyot jagāye,
o,
merī bāṅheṅ pakaḍ lo Śyām re,
Banvārī re...
https://www.bhajanusa.com
Viewed … times