← All bhajans
Bhajan

भोले भंडारी बन करके · Bhole Bhandari Ban Karke

Bhajan — Shiv comes to Braj in disguise to see the Rās · from the Satsang collection
हिन्दी
English
Refrain
इक दिन वो भोले भंडारी, बनके ब्रज की नारी, ब्रज में आ गए (२) पार्वती भी मना के हारी, ना माने त्रिपुरारी, ब्रज में आ गए (२)
Ik din vo Bhole Bhaṇḍārī, banke Braj kī nārī, Braj meṅ ā gae (2) Pārvatī bhī manā ke hārī, nā māne Tripurārī, Braj meṅ ā gae (2)
पार्वती से बोले, मैं भी चलूँगा तेरे संग मैं राधा संग श्याम नाचे, मैं भी नाचूँगा तेरे संग में रास रचेगा ब्रज मैं भारी, हमे दिखादो प्यारी
Pārvatī se bole, maiṅ bhī chalūṅgā tere saṅg maiṅ, Rādhā saṅg Śyām nāche, maiṅ bhī nāchūṅgā tere saṅg meṅ, rās rachegā Braj maiṅ bhārī, hame dikhādo pyārī.
ओ मेरे भोले स्वामी, कैसे ले जाऊं अपने संग में श्याम के सिवा वहां, पुरुष ना जाए उस रास में हंसी करेगी ब्रज की नारी, मानो बात हमारी
O mere Bhole Svāmī, kaise le jāūṅ apne saṅg meṅ, Śyām ke sivā vahāṅ, puruṣ nā jāe us rās meṅ, hansī karegī Braj kī nārī, māno bāt hamārī.
ऐसा बना दो मोहे, कोई ना जाने इस राज को मैं हूँ सहेली तेरी, ऐसा बताना ब्रज राज को
Aisā banā do mohe, koī nā jāne is rāj ko, maiṅ hūṅ sahelī terī, aisā batānā Braj rāj ko.
बना के जुड़ा पहन के साड़ी, चाल चले मतवाली हंस के सती ने कहा, बलिहारी जाऊं इस रूप में इक दिन तुम्हारे लिए, आये मुरारी इस रूप मैं मोहिनी रूप बनाया मुरारी, अब है तुम्हारी बारी
Banā ke juḍā pahan ke sāḍī, chāl chale matvālī, hans ke Satī ne kahā, balihārī jāūṅ is rūp meṅ, ik din tumhāre lie, āye Murārī is rūp maiṅ, Mohinī rūp banāyā Murārī, ab hai tumhārī bārī.
देखा मोहन ने उनको, समझ गये वो सारी बात रे ऐसी बजाई बंसी, सुध बुध भूले भोलेनाथ रे सिर से खिसक गयी जब साड़ी, मुस्काये गिरधारी
Dekhā Mohan ne unko, samajh gaye vo sārī bāt re, aisī bajāī baṅsī, sudh budh bhūle Bholenāth re, sir se khisak gayī jab sāḍī, muskāye Girdhārī.
दीनदयाल तेरा तब से, गोपेश्वर हुआ नाम रे ओ भोले बाबा तेरा, वृन्दावन बना धाम रे भक्त कहे ओ त्रिपुरारी, राखो लाज हमारी, ब्रज में आ गए
Dīnadayāl terā tab se, Gopeśvar huā nām re, o Bhole Bābā terā, Vṛndāvan banā dhām re, bhakt kahe o Tripurārī, rākho lāj hamārī, Braj meṅ ā gae.