← All bhajans
Bhajan

शेरावालिये · Sheravaliye

Bhajan — Vaishno Devī, goddess of the mountain shrine · from the Satsang collection
हिन्दी
English
साँची ज्योता वाली माता.. माता तेरी सदा ही जय, तेरी सदा ही जय
Sāṅchī jyotā vālī Mātā.. Mātā, terī sadā hī jaya, terī sadā hī jaya.
Refrain
तूने मुझे बुलाया शेरावालिये, मैं आया मैं आया शेरावालिये (२) ज्योता वालिये, पहाड़ा वालिये, मेहरा वालिये तूने मुझे बुलाया शेरावालिये, मैं आया मैं आया शेरावालिये
Tūne mujhe bulāyā Sherāvāliye, maiṅ āyā maiṅ āyā Sherāvāliye (2) jyotā vāliye, pahāḍā vāliye, mehrā vāliye, tūne mujhe bulāyā Sherāvāliye, maiṅ āyā maiṅ āyā Sherāvāliye.
सारा जग है इक बंजारा, सब की मंजिल तेरा द्वारा ऊँचे परबत लम्बा रास्ता, ऊँचे परबत लम्बा रास्ता, पर मैं रह ना पाया शेरा वालिये, मैं आया मैं आया शेरावालिये
Sārā jag hai ik bañjārā, sab kī manzil terā dvārā, ūṅche parbat lambā rāstā, ūṅche parbat lambā rāstā, par maiṅ rah nā pāyā Sherā vāliye, maiṅ āyā maiṅ āyā Sherāvāliye.
सूने मन में जल गयी बाती, तेरे पथ में मिल गए साथी मुंह खोलूं क्या तुझ से मांगू, मुंह खोलूं क्या तुझ से मांगू, बिन मांगे सब पाया शेरा वालिये, मैं आया मैं आया शेरावालिये
Sūne man meṅ jal gayī bātī, tere path meṅ mil gae sāthī, muṅh kholūṅ kyā tujh se māṅgū, muṅh kholūṅ kyā tujh se māṅgū, bin māṅge sab pāyā Sherā vāliye, maiṅ āyā maiṅ āyā Sherāvāliye.
कौन है राजा, कौन भिखारी, एक बराबर तेरे सारे पुजारी तूने सब को दर्शन देके, तूने सब को दर्शन देके, अपने गले लगाया, शेरा वालिये, मैं आया मैं आया शेरावालिये
Kaun hai rājā, kaun bhikhārī, ek barābar tere sāre pujārī, tūne sab ko darshan deke, tūne sab ko darshan deke, apne gale lagāyā, Sherā vāliye, maiṅ āyā maiṅ āyā Sherāvāliye.