← All bhajans
Bhajan

शिर्डी मे उड़े रे गुलाल · Shirdi Mein Ude Re Gulaal

Bhajan — Shirdi Sai Baba · from the Satsang collection
हिन्दी
English
Refrain
शिर्डी मे उड़े रे गुलाल, के साईं का जवाब नहीं (२)
Shirḍī meṅ uḍe re gulāl, ke Sāīṅ kā javāb nahīṅ (2) — repeats after each verse below
जिसने जानी साईं की माया, दौड़ दौड़ के, शिर्डी वो आया (२) साईं का देखा कमाल, के साईं का जवाब नहीं (२)
Jisne jānī Sāīṅ kī māyā, dauḍ dauḍ ke, Shirḍī vo āyā (2) Sāīṅ kā dekhā kamāl, ke Sāīṅ kā javāb nahīṅ (2)
नर नारी सब, नाम पुकारे, साईं जी सबके, काज सवारे (२) मिटते है सब जंजाल, के साईं का जवाब नहीं (२)
Nar nārī sab, nām pukāre, Sāīṅ jī sabke, kāj savāre (2) miṭte hai sab jañjāl, ke Sāīṅ kā javāb nahīṅ (2)
श्रद्धा सबूरी का मंत्र निराला, जो भी पी ले, साईं का प्याला (२) सब को किया खुशहाल, के साईं का जवाब नहीं (२)
Śraddhā sabūrī kā mantra nirālā, jo bhī pī le, Sāīṅ kā pyālā (2) sab ko kiyā khushhāl, ke Sāīṅ kā javāb nahīṅ (2)
तीनो लोक के साईं हैं दाता, सदगुरु साईं भाग्य विधाता (२) रखता है सबका खयाल, के साईं का जवाब नहीं (२)
Tīno lok ke Sāīṅ haiṅ dātā, Sadguru Sāīṅ bhāgya vidhātā (2) rakhtā hai sabkā khayāl, ke Sāīṅ kā javāb nahīṅ (2)
भक्तों की आँखों के, बाबा है तारे, भक्तों का मेला साईं के द्वारे (२) दर्शन की लगी रे कतार, के साईं का जवाब नहीं (२)
Bhaktoṅ kī āṅkhoṅ ke, Bābā hai tāre, bhaktoṅ kā melā Sāīṅ ke dvāre (2) darśan kī lagī re katār, ke Sāīṅ kā javāb nahīṅ (2)