← All bhajans
Bhajan
सूरज की गर्मी से · Like Shade from the Sun's Heat
Bhajan to Lord Ram — comparing the peace found in taking refuge in him to shade from scorching heat and water for the thirsty · from the Satsang collection
हिन्दी
English
Refrain
जैसे सूरज की गर्मी से जलते हुए तन को मिल जाये तरुवर की छाया,
ऐसा ही सुख मेरे मन को मिला है, मैं जबसे शरण तेरी आया, मेरे राम (२)
Jaise sūraj kī garmī se jalte hue tan ko mil jāye taruvar kī chhāyā,
Aisā hī sukh mere man ko milā hai, maiṅ jabse śaraṇ terī āyā, mere Rām. (2)
भटका हुआ मेरा मन था कोई मिल ना रहा था सहारा
लहरों से लड़ती हुई नाव को जैसे मिल ना रहा हो किनारा,
मिल ना रहा हो किनारा
उस लड़खड़ाती हुई नाव को जो किसी ने किनारा दिखाया
Bhaṭkā huā merā man thā koī mil nā rahā thā sahārā,
Lahroṅ se laḍtī huī nāv ko jaise mil nā rahā ho kinārā,
Mil nā rahā ho kinārā,
Us laḍkhaḍātī huī nāv ko jo kisī ne kinārā dikhāyā.
शीतल बने आग चंदन के जैसी राघव कृपा हो जो तेरी
उजियाली पूनम की हो जाएं रातें जो थीं अमावस अंधेरी,
जो थीं अमावस अंधेरी
युग-युग से प्यासी मरुभूमि ने जैसे सावन का संदेस पाया
Śītal bane āg chandan ke jaisī Rāghav kṛpā ho jo terī,
Ujiyālī pūnam kī ho jāeṅ rāteṅ jo thīṅ amāvas andherī,
Jo thīṅ amāvas andherī,
Yug-yug se pyāsī marubhūmi ne jaise sāvan kā sandes pāyā.
जिस राह की मंज़िल तेरा मिलन हो उस पर कदम मैं बढ़ाऊं
फूलों में खारों में, पतझड़ बहारों में मैं न कभी डगमगाऊं,
मैं न कभी डगमगाऊं
पानी के प्यासे को तक़दीर ने जैसे जी भर के अमृत पिलाया
Jis rāh kī manzil terā milan ho us par kadam maiṅ baḍhāūṅ,
Phūloṅ meṅ khāroṅ meṅ, patjhaḍ bahāroṅ meṅ maiṅ na kabhī ḍagamgāūṅ,
Maiṅ na kabhī ḍagamgāūṅ,
Pānī ke pyāse ko taqdīr ne jaise jī bhar ke amṛt pilāyā.