← All bhajans
Bhajan

ऐ मालिक तेरे बंदे हम · O Lord, We Are Your Children

Prayer for guidance to walk the path of goodness and away from wrongdoing, trusting in the Lord's mercy · from the Satsang collection
हिन्दी
English
Refrain
ऐ मालिक तेरे बन्दे हम, ऐसे हों हमारे करम नेकी पर चलें और बदी से टलें, ताकि हंसते हुए निकले दम ऐ मालिक तेरे बन्दे हम
Ai Mālik tere bande ham, aise hoṅ hamāre karam, Nekī par chaleṅ aur badī se ṭaleṅ, tāki hansate hue nikle dam, Ai Mālik tere bande ham.
ये अँधेरा घना छा रहा, तेरा इंसान घबरा रहा हो रहा बेखबर, कुछ न आता नज़र सुख का सूरज छुपा जा रहा है तेरी रौशनी में जो दम, तू अमावास को कर दे पूनम
Ye andherā ghanā chhā rahā, terā insān ghabrā rahā, Ho rahā bekhabar, kuchh na ātā nazar, Sukh kā sūraj chhupā jā rahā, Hai terī rauśnī meṅ jo dam, tū amāvās ko kar de pūnam.
जब जुल्मों का हो सामना, तब तू ही हमें थामना वो बुराई करे, हम भलाई भरें, नहीं बदले की हो कामना बढ़ उठे प्यार का हर कदम और मिटे बैर का ये भरम
Jab zulmoṅ kā ho sāmnā, tab tū hī hameṅ thāmnā, Vo burāī kare, ham bhalāī bhareṅ, nahīṅ badle kī ho kāmnā, Baḍh uṭhe pyār kā har kadam aur miṭe bair kā ye bharam.
बड़ा कमज़ोर है आदमी, अभी लाखों हैं इसमें कमी पर तू जो खड़ा है दयालू बड़ा, तेरी किरपा से धरती थमी दिया तूने हमे जब जनम, तू ही झेलेगा हम सबके ग़म
Baḍā kamzor hai ādmī, abhī lākhoṅ haiṅ isameṅ kamī, Par tū jo khaḍā hai dayālū baḍā, terī kirpā se dhartī thamī, Diyā tūne hame jab janam, tū hī jhelegā ham sabke gam.