← All bhajans
Bhajan

मिलता है सच्चा सुख केवल · Milta Hai Sachha Sukh Keval

A vow to keep the mind fixed at the Lord's feet no matter what crisis, hardship, or hostility life brings
हिन्दी
English
Refrain
मिलता है सच्चा सुख केवल भगवान तुम्हारे चरणों में यह विनती है पल पल छिन रहे ध्यान तुम्हारे चरणों में
Miltā hai sacchā sukh keval, Bhagvān tumhāre charṇoṅ meṅ, yah vintī hai pal pal chhin, rahe dhyān tumhāre charṇoṅ meṅ.
चाहे संकट ने मुझे घेरा हो चाहे चारों ओर अंधेरा हो पर मन नहीं डगमग मेरा हो रहे ध्यान तुम्हारे चरणों में मिलता है सच्चा सुख केवल...
Chāhe saṅkaṭ ne mujhe gherā ho, chāhe chāroṅ or andherā ho, par man nahīṅ ḍagmag merā ho, rahe dhyān tumhāre charṇoṅ meṅ, miltā hai sacchā sukh keval...
चाहे अग्नि में मुझे जलना हो चाहे कांटों पे मुझे चलना हो चाहे छोड़के देश निकलना हो रहे ध्यान तुम्हारे चरणों में मिलता है सच्चा सुख केवल...
Chāhe agni meṅ mujhe jalnā ho, chāhe kāṅṭoṅ pe mujhe chalnā ho, chāhe chhoḍke deś nikalnā ho, rahe dhyān tumhāre charṇoṅ meṅ, miltā hai sacchā sukh keval...
चाहे बैरी सब संसार बने चाहे जीवन मुझ पर भार बने चाहे मौत गले का हार बने रहे ध्यान तुम्हारे चरणों में मिलता है सच्चा सुख केवल...
Chāhe bairī sab sansār bane, chāhe jīvan mujh par bhār bane, chāhe maut gale kā hār bane, rahe dhyān tumhāre charṇoṅ meṅ, miltā hai sacchā sukh keval...
जिह्वा पर तेरा नाम रहे तेरा ध्यान सुबह और शाम रहे तेरी याद तो आठों यम रहे रहे ध्यान तुम्हारे चरणों में मिलता है सच्चा सुख केवल...
Jihvā par terā nām rahe, terā dhyān subah aur śhām rahe, terī yād to āṭhoṅ yam rahe, rahe dhyān tumhāre charṇoṅ meṅ, miltā hai sacchā sukh keval...
https://www.bhajanusa.com
Viewed … times