← All bhajans
Bhajan

कभी कभी भगवान् को भी भक्तों से काम पड़े · Kabhi Kabhi Bhagwan Ko Bhi

Bhajan — the story of Rām and the boatman Kevaṭ · from the Satsang collection
हिन्दी
English
Refrain
कभी कभी भगवान् को भी भक्तों से काम पड़े । जाना था गंगा पार प्रभु केवट की नाव चढ़े ॥
Kabhī kabhī Bhagavān ko bhī bhaktoṅ se kām paḍe, jānā thā Gaṅgā pār Prabhu Kevaṭ kī nāv chaḍhe.
अवध छोड़ प्रभु वन को धाये, सिया राम लखन गंगा तट आये । केवट मन ही मन हर्षाये, घर बैठे प्रभु दर्शन पाए । हाथ जोड़ कर प्रभु के आगे केवट मगन खड़े ॥ जाना था गंगा पार प्रभु केवट की नाव चढ़े (2)
Avadh chhoḍ Prabhu van ko dhāye, Siyā Rām Lakhan Gaṅgā taṭ āye, Kevaṭ man hī man harṣāye, ghar baiṭhe Prabhu darśan pāe, hāth joḍ kar Prabhu ke āge Kevaṭ magan khaḍe. Jānā thā Gaṅgā pār Prabhu Kevaṭ kī nāv chaḍhe (2)
प्रभु बोले तुम नाव चलाओ, अरे पार हमे केवट पहुँचाओ । केवट बोला सुनो हमारी, चरण धुल की माया भारी । मैं गरीब नैया मेरी, नारी ना होए पड़े ॥ जाना था गंगा पार प्रभु केवट की नाव चढ़े (2)
Prabhu bole tum nāv chalāo, are pār hame Kevaṭ pahuṅchāo, Kevaṭ bolā suno hamārī, charaṇ dhul kī māyā bhārī, maiṅ garīb naiyā merī, nārī nā hoe paḍe. Jānā thā Gaṅgā pār Prabhu Kevaṭ kī nāv chaḍhe (2)
चली नाव गंगा की धारा, सिया राम लखन को पार उतारा । प्रभु देने लगे नाव उतराई, केवट कहे नहीं रागुराई । पार किया मैंने तुमको, अब तू मोहे पार करे ॥ जाना था गंगा पार प्रभु केवट की नाव चढ़े (2)
Chalī nāv Gaṅgā kī dhārā, Siyā Rām Lakhan ko pār utārā, Prabhu dene lage nāv utrāī, Kevaṭ kahe nahīṅ Rāgurāī, pār kiyā maiṅne tumko, ab tū mohe pār kare. Jānā thā Gaṅgā pār Prabhu Kevaṭ kī nāv chaḍhe (2)