← All bhajans
Bhajan

मैया ओढ़े चुनरी · Maiya Odhe Chunari

Bhajan — Durgā, riding her lion, slays Mahishasur · from the Satsang collection
हिन्दी
English
Refrain
आई सिंह पे सवार, मैया ओढ़े चुनरी (४) मैया ओढ़े है चुनरी, मैया ओढ़े चुनरी (२)
Āī sinh pe savār, maiyā oḍhe chunarī (4) maiyā oḍhe hai chunarī, maiyā oḍhe chunarī (2)
आदि शक्ति है मातु भवानी, जय दुर्गे माँ काली (२) बड़े-बड़े राक्षस संहारे, रणचंडी मतवाली (२) करती भक्तों का उद्धार, मैया ओढ़े चुनरी (४)
Ādi shakti hai mātu Bhavānī, jaya Durge māṅ Kālī (2) baḍe-baḍe rākṣas sanhāre, raṇachaṇḍī matvālī (2) kartī bhaktoṅ kā uddhār, maiyā oḍhe chunarī (4)
महिषासुर था महाबली, देवों को खूब सताया (२) छीन लिया इन्द्रासन और देवों को मार भगाया (२) करी तब देवों ने पुकार, मैया ओढ़े चुनरी (४)
Mahiṣāsur thā mahābalī, devoṅ ko khūb satāyā (2) chhīn liyā Indrāsan aur devoṅ ko mār bhagāyā (2) karī tab devoṅ ne pukār, maiyā oḍhe chunarī (4)
दुर्गा का अवतार लिया झट महिषासुर संहारी (२) दूर किया देवों का संकट, लीला तेरी न्यारी (२) किया देवों का उपकार, मैया ओढ़े चुनरी (४)
Durgā kā avatār liyā jhaṭ Mahiṣāsur sanhārī (2) dūr kiyā devoṅ kā saṅkaṭ, līlā terī nyārī (2) kiyā devoṅ kā upkār, maiyā oḍhe chunarī (4)
जो कोई जिस आशा से माता द्वार तिहारे आता (२) हर इच्छा होती है पूरण, मुँह माँगा फल पाता (२) तेरा गुण गावे संसार मैया ओढ़े चुनरी (४)
Jo koī jis āshā se mātā dvār tihāre ātā (2) har ichchhā hotī hai pūraṇ, muṅh māṅgā phal pātā (2) terā guṇ gāve sansār, maiyā oḍhe chunarī (4)