← All bhajans
Bhajan
मेरा आपकी कृपा से · Mera Aapki Kripa Se
A devotee's grateful surrender to Krishna, acknowledging every good thing as his grace
हिन्दी
English
Refrain
मेरा आपकी कृपा से,
सब काम हो रहा है
करते हो तुम कन्हैया,
मेरा नाम हो रहा है
Merā āpkī kṛpā se,
sab kām ho rahā hai,
karte ho tum Kanhaiyā,
merā nām ho rahā hai.
पतवार के बिना ही,
मेरी नाव चल रही है
हैरान है ज़माना,
मंज़िल भी मिल रही है
करता नहीं मैं कुछ भी,
सब काम हो रहा है
करते हो तुम कन्हैया,
मेरा नाम हो रहा है
मेरा आपकी कृपा से,
सब काम हो रहा है
Patvār ke binā hī,
merī nāv chal rahī hai,
hairān hai zamānā,
manzil bhī mil rahī hai,
kartā nahīṅ maiṅ kuchh bhī,
sab kām ho rahā hai,
karte ho tum Kanhaiyā,
merā nām ho rahā hai,
merā āpkī kṛpā se,
sab kām ho rahā hai.
मैं तो नहीं हूँ काबिल,
तेरा पार कैसे पाऊं
टूटी हुई वाणी से,
गुणगान कैसे गाऊं
तेरी ही प्रेरणा से,
यह कमाल हो रहा है
करते हो तुम कन्हैया,
मेरा नाम हो रहा है
मेरा आपकी कृपा से,
सब काम हो रहा है
Maiṅ to nahīṅ hūṅ kābil,
terā pār kaise pāūṅ,
ṭūṭī huī vāṇī se,
guṇgān kaise gāūṅ,
terī hī preraṇā se,
yah kamāl ho rahā hai,
karte ho tum Kanhaiyā,
merā nām ho rahā hai,
merā āpkī kṛpā se,
sab kām ho rahā hai.
तुम साथ हो जो मेरे,
किस चीज़ की कमी है
किसी और चीज़ की अब,
दरकार ही नहीं है
तेरे साथ से गुलाम अब,
गुलफाम हो रहा है
करते हो तुम कन्हैया,
मेरा नाम हो रहा है
मेरा आपकी कृपा से,
सब काम हो रहा है
Tum sāth ho jo mere,
kis chīz kī kamī hai,
kisī aur chīz kī ab,
darkār hī nahīṅ hai,
tere sāth se gulām ab,
gulfām ho rahā hai,
karte ho tum Kanhaiyā,
merā nām ho rahā hai,
merā āpkī kṛpā se,
sab kām ho rahā hai.
तूफान आंधियों में,
तूने ही मुझको थामा
तुम कृष्ण बनके आए,
मैं जब बना सुदामा
तेरा करम यह मुझपर,
सारे आम हो रहा है
करते हो तुम कन्हैया,
मेरा नाम हो रहा है
मेरा आपकी कृपा से,
सब काम हो रहा है
Tūfān āndhiyoṅ meṅ,
tūne hī mujhko thāmā,
tum Kṛṣṇa banke āye,
maiṅ jab banā Sudāmā,
terā karam yah mujhpar,
sāre ām ho rahā hai,
karte ho tum Kanhaiyā,
merā nām ho rahā hai,
merā āpkī kṛpā se,
sab kām ho rahā hai.
https://www.bhajanusa.com
Viewed … times