← All bhajans
Bhajan
सुन ओ कृष्ण की माँ · Sun O Krishna Ki Maa
A playful dialogue between Kirti Maa and Yashoda Maa, as Yashoda praises Krishna's dark, radiant form while teasingly declining a marriage match with Radha
हिन्दी
English
(भजन – कीर्ति माँ और यशोदा माँ का संवाद।)
कछु माखन को बल बढे हो,
कछु गोपन कि न साहाय्य कोशोरी कि थी कृपा ते गिरीवन ले उठाय
(Bhajan – Kīrti Māṅ aur Yaśodā Māṅ kā saṅvād.)
Kachhu mākhan ko bal baḍhe ho,
kachhu gopan ki na sahāyya koshorī ki thī kṛipā te girivan le uṭhāya.
Refrain
सुन ओ कृष्ण की माँ,
बहुत दिन टाला है,
मैं ना राधा ब्याह रचाऊं,
, कन्हैया तेरा काला है
Sun o Kṛṣṇa kī māṅ,
bahut din ṭālā hai,
maiṅ nā Rādhā byāh rachāūṅ,
Kanhaiyā terā kālā hai.
मेरी राधा चंद्र किरण सी,
रूप उजियारी है,
तेरा लाला तो,
जैसे रतिया,
काली काली है,
तेरा लाला तो,
जैसे रतिया काली है,
मैंने बड़े लाड़ से,
लाड़ली को पाला है,
मै ना राधा ब्याह रचाऊँ,
कन्हैया तेरा काला है
Merī Rādhā chandra kiraṇ sī,
rūp ujiyārī hai,
terā lālā to,
jaise ratiyā,
kālī kālī hai,
terā lālā to,
jaise ratiyā kālī hai,
maiṅne baḍe lāḍ se,
lāḍlī ko pālā hai,
maiṅ nā Rādhā byāh rachāūṅ,
Kanhaiyā terā kālā hai.
मेरी राधा चंपा कली,
का रंग सुनहरा है,
तेरा मोहन तो,
जैसे काला भवरा है,
तेरा मोहन तो,
जैसे काला भवरा है,
मैंने बड़े नाज़ से,
लाड़ली को संभाला है,
मै ना राधा ब्याह रचाऊं,
कन्हैया तेरा काला है
Merī Rādhā champā kalī,
kā raṅg sunahrā hai,
terā Mohan to,
jaise kālā bhavrā hai,
terā Mohan to,
jaise kālā bhavrā hai,
maiṅne baḍe nāz se,
lāḍlī ko sambhālā hai,
maiṅ nā Rādhā byāh rachāūṅ,
Kanhaiyā terā kālā hai.
रखले तू अपनी राधा,
कहीं छुपाकर के,
क्या तूने जन्म दिया है,
सोना खा कर के,
क्या तूने जन्म दिया है,
सोना खा कर के,
मेरा श्याम लला भी,
अंखियों का उजियाला है,
मै ना राधा ब्याह रचाऊँ,
कन्हैया मोरा लाला है
Rakh le tū apnī Rādhā,
kahīṅ chhupā kar ke,
kyā tūne janma diyā hai,
sonā khā kar ke,
kyā tūne janma diyā hai,
sonā khā kar ke,
merā Śyām lalā bhī,
aṅkhiyoṅ kā ujiyālā hai,
maiṅ nā Rādhā byāh rachāūṅ,
Kanhaiyā morā lālā hai.
उस काले की बात,
, कहीं कुछ और है,
मैंने सुना तेरा लाला,
माखन चोर है,
मैंने सुना तेरा लाला,
, माखन चोर है,
अब बोल जरा क्यों,
लगा जुबां पे ताला है,
मै ना राधा ब्याह रचाऊँ,
कन्हैया तेरा काला है
Us kāle kī bāt,
kahīṅ kuchh aur hai,
maiṅne sunā terā lālā,
mākhan chor hai,
maiṅne sunā terā lālā,
mākhan chor hai,
ab bol zarā kyoṅ,
lagā zubāṅ pe tālā hai,
maiṅ nā Rādhā byāh rachāūṅ,
Kanhaiyā terā kālā hai.
मेरे लाला को,
माखन मिश्री भाता है,
हाँ कभी कभी थोड़ा,
छुप छुप के खाता है,
हाँ कभी कभी थोड़ा,
छुप छुप के खाता है,
मेरा श्याम लला,
तू देख बड़ा दिलवाला है,
मै ना राधा ब्याह रचाऊँ,
कन्हैया मोरा लाला है
Mere lālā ko,
mākhan miśrī bhātā hai,
hāṅ kabhī kabhī thoḍā,
chhup chhup ke khātā hai,
hāṅ kabhī kabhī thoḍā,
chhup chhup ke khātā hai,
merā Śyām lalā,
tū dekh baḍā dilvālā hai,
maiṅ nā Rādhā byāh rachāūṅ,
Kanhaiyā morā lālā hai.
मेरे लाला को,
कहाँ दुल्हन का घाटा है,
लड़की वालों ने,
मेरे श्याम को छांटा है,
लड़की वालों ने,
मेरे श्याम को छांटा है,
क्यों बातें करती,
लगाके मिर्च मसाला है,
मेरा लाला भी,
तो अंखियों का उजियाला है
Mere lālā ko,
kahāṅ dulhan kā ghāṭā hai,
laḍkī vāloṅ ne,
mere Śyām ko chhāṅṭā hai,
laḍkī vāloṅ ne,
mere Śyām ko chhāṅṭā hai,
kyoṅ bāteṅ kartī,
lagāke mirch masālā hai,
merā lālā bhī,
to aṅkhiyoṅ kā ujiyālā hai.
सुन ओ कृष्ण की माँ,
बहुत दिन टाला है,
मैं ना राधा ब्याह रचाऊं,
कन्हैया तेरा काला है
Sun o Kṛṣṇa kī māṅ,
bahut din ṭālā hai,
maiṅ nā Rādhā byāh rachāūṅ,
Kanhaiyā terā kālā hai.
https://www.bhajanusa.com
Viewed … times