← All bhajans
Bhajan
तेरा रामजी करेंगे बेड़ा पार · Tera Raamji Karenge Beda Paar
Reassurance that Ram steers every soul's boat across life's troubled waters — so why let the heart despair?
हिन्दी
English
राम नाम सोई जानिये
जो रमता सकल जहान
घट घट में जो राम रहा
उसको राम पहचान
Rām nām soī jāniye,
jo ramtā sakal jahān,
ghaṭ ghaṭ meṅ jo Rām rahā,
usko Rām pahchān.
Refrain
तेरा रामजी करेंगे बेड़ा पार
उदासी मन काहे को करे
तेरा रामजी करेंगे बेड़ा पार
उदास मन काहे को करे
काहे को करे रे,
काहे को करे
काहे को करे,
काहे को करे
Terā Rāmjī kareṅge beṛā pār,
udāsī man kāhe ko kare,
terā Rāmjī kareṅge beṛā pār,
udās man kāhe ko kare,
kāhe ko kare re,
kāhe ko kare,
kāhe ko kare,
kāhe ko kare.
नैया तेरी राम हवाले
लहर लहर हरि आप संभाले
नैया तेरी राम हवाले
लहर लहर हरि आप संभालें
हरि आप ही उठावे तेरा भार
उदास मन काहे को करे
तेरा रामजी करेंगे बेड़ा पार...
Naiyā terī Rām havāle,
lahar lahar Hari āp sambhāle,
naiyā terī Rām havāle,
lahar lahar Hari āp sambhāleṅ,
Hari āp hī uṭhāve terā bhār,
udās man kāhe ko kare,
terā Rāmjī kareṅge beṛā pār...
काबू में मंझधार उसी के
हाथों में पतवार उसी के
काबू में मंझधार उसी के
हाथों में पतवार उसी के
तेरी हार भी नहीं है तेरी हार
उदासी मन काहे को करे
तेरा रामजी करेंगे बेड़ा पार...
Kābū meṅ manjhdhār usī ke,
hāthoṅ meṅ patvār usī ke,
kābū meṅ manjhdhār usī ke,
hāthoṅ meṅ patvār usī ke,
terī hār bhī nahīṅ hai terī hār,
udāsī man kāhe ko kare,
terā Rāmjī kareṅge beṛā pār...
सहज किनारा मिल जाएगा
परम सहारा मिल जाएगा
सहज किनारा मिल जाएगा
परम सहारा मिल जाएगा
डोरी सौंप के तो देख एक बार
उदास मन काहे को करे
तेरा रामजी करेंगे बेड़ा पार...
Sahaj kinārā mil jāyegā,
param sahārā mil jāyegā,
sahaj kinārā mil jāyegā,
param sahārā mil jāyegā,
ḍorī saump ke to dekh ek bār,
udās man kāhe ko kare,
terā Rāmjī kareṅge beṛā pār...
तू निर्दोष तुझे क्या डर है
पग पग पर साथी ईश्वर है
तू निर्दोष तुझे क्या डर है
पग पग पर साथी ईश्वर है
ज़रा भावना से कीजिए पुकार
उदास मन काहे को करे
तेरा रामजी करेंगे बेड़ा पार...
Tū nirdoṣ tujhe kyā ḍar hai,
pag pag par sāthī Īśvar hai,
tū nirdoṣ tujhe kyā ḍar hai,
pag pag par sāthī Īśvar hai,
zarā bhāvnā se kījiye pukār,
udās man kāhe ko kare,
terā Rāmjī kareṅge beṛā pār...
https://www.bhajanusa.com
Viewed … times